Wohi Aahatein Dar-o-Baam Par, Wohi Rat_Jagon k Azab Hen
Wohi Adh Bujhi Meri Neend Hai, Wohi Adh Jaley Merey Khawab Hen

Merey Saamney Yeh Jo Kehkashaaon Ki Hai Dhund Hadd-e-Nigah Tak,
Parey Is k Jaaney Haqeeqatein Hen Ya Haqeeqton K Saraab Hen

Kabhi Chaha Khud Ko Sametna To Bikhar k Aur B Reh Gaey,
Hen Jo Kirchi Kirchi Parrey Hue Merey Saamney Merey Khawab Hen

Yeh Na Pooch Kesay Basar Kiye Shab-o-Roz Kitney Peher Jiye,
Kisay Rat Din Ki Tamiz Thi, Kisay Yaad Itne Hisab Hen...

No comments:
Post a Comment