rasta bhi kaThin, dhoop meN shiddat bhi bohat thi
saaye sey magar us ko mohabbat bhi bohat thi
khemey na koii merey musaafir k jalaaye
zakhmi tha bohat paaoN musaafat bhi bohat thi
sab dost merey muntazir-e-parda-e-shab they
din meN to safar karney meN diqqat bhi bohat thi
barrish ki duaaoN meN nami aaNkh ki mil jaaye
jazbey ki kabhi itni rafaaqat bhi bohat thi
kuchchh to terey mausam hi mujhey raas kam aaye
aur kuchchh meri miTTi meN baghaawat bhi bohat thi
phooloN ka bikharna to muqaddar hi tha lekin
kuchchh is meN hawaaoN ki siyaasat bhi bohat thi
is tark-e-rafaaqat pey pareshaaN to hooN lekin
ab tak k terey saath pey herat bhi bohat thi
khush aaye tujhey shehr-e-munaafiq ki ameeri
hum logoN ko sach kehney ki aadat bhi bohat thi
No comments:
Post a Comment