Zindagi men to sab hi pyaar kiya kartay hain
Main to mar kar bhi meri jaan tujhey chahoon ga
Tu mila hay to yeh ehsaas huwa hay mujh ko
Yeh meri umr mohabbat k liye thorri hay
Ik zara sa gham e doraan ka bhi haq hay jis par
Main ney woh saans bhi tere liye rakh chorri hay
Tujh pey ho jaaoon ga qurbaan tujhey chahoon ga
Main to mar kar bhi meri jaan tujhey chahoon ga
Apney jazbbat men naghmaat rachaney k liye
Main ney dharkan ki tarah dil men basaya hay tujhey
Main tassawur bhi judayi ka bhala kaisey karoon
Main ney qismat ki lakiiron sey churaya hay tujhey
Pyaar ka ban k nigehbaan tujhey chahoon ga
Main to mar kar bhi meri jaaan tujhey chahoon ga
Teri har chaap se jaltay hain khayaloon men chiraagh
Jab bhi tu aaye jagata huwa jaadu aaye
Tujh ko choo loon to phir aaye jaan e tamanna mujh ko
Dair tak apney badan sey teri khushbo aaye
Tu bahaaron ka hay unwaan tujhey chahoon ga
Main to mar kar bhi meri jaan tujhey chahoon ga
Zindagi main to sab hi pyaar kiya karty hain
Main to mar kar bhi meri jaan tujhey chahoon ga
No comments:
Post a Comment