paa-ba-gil sab hain rihaaii kii karey tadabiir kaun
dast-bastaa shehar men kholey merii zanjiir kaun
[rihaaii = freedom; tadabiir = solution/way]
[dast-bastaa = tied hands]
meraa sar haazir hai lekin meraa munsif dekh ley
kar rahaa hai merey fard-e-jurm kii tahariir kaun
[munsif = judge; fard-e-jurm = tale of guilt]
[tahariir = writing]
aaj darvaazon pey dastak jaanii pahachaanii sii hai
aaj merey naam laataa hai merii taaziir kaun
[taaziir = punishment]
niind jab Khvaabon sey pyaarii ho to aisey ehad men
Khvaab dekhey kaun aur Khvaabon ko dey taabiir kaun
[ahad = era/times]
rait abhii pichhale makaanon kii na vaapas aaii thii
phir lab-e-saahil gharaundaa kar gayaa taamiir kaun
[lab-e-saahil = on the shoreline; taamiir = construct]
saarey rishtey hijraton men saath detey hain to phir
shehar sey jaatey huey hotaa hai daamangiir kaun
merii chaadar to chhinii thii shaam kii tanhaaii ney
be'ridaaii ko merii phir dey gayaa tash'hiir kaun
dushmanon k saath merey dost bhii aazaad hain
dekhanaa hai khenchataa hai mujh pey pahalaa tiir kaun
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
khuli aankh men sapna jhaankta hai
wo soya hai keh kuch kuch jaagta hai
teri chahat k bheegey junglon men
mera tan, more ban kar naachta hai
mujhey har kaifiyat men kyun na samjhey
wo merey sab hawaaley jaanta hai
main uski dastaras men hoon, magar wo
mujhey meri raza sey maangta hai
kisi k dhayaan men dooba hua dil
bahaaney sey mujhey bhi taalta hai
sarrak ko chhorr kar chalna parrey ga
keh merey ghar ka kaccha raasta hai.
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
Hamaray Dermiyan Aisa Koi Rishta Nahi Tha
Teray Shaanon Pay Koi Chatt Nahi Thi
Meray Zimmay Koi Aangan Nahi Tha
Koi Waada Teri Zanjeer-e-Pa Ban'nay Nahi Paata
Kisi Iqraar Nay Meri Kalaii Ko Nahi Thaama
Hawa-e-Dasht Ki Manind
Tu Aazad Tha
Rastay Teri Marzi K Taabay Thay
Mujhey Bhi Apni TanhaaI Pay
Dekha Jaaey To
Poora Tasarruf Tha
Mager Jab Aaj Tu Nay
Rasta Badla
To Kuch Aisa Laga Mujh Ko
Keh Jesay Tu Nay Mujh Say Bay-WafaaI Ki...
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
manzar hai vahii thithak rahii huuN
hairat sey palak jhapak rahii huuN
ye tuu hai keh meraa veham hai
band aaNkhon sey tujh ko tak rahii huuN
jaisey keh kabhii na thaa ta'arruf
yuuN miltey huey jhijhak rahii huuN
pehchaan men terii roshanii huuN
aur terii palak palak rahii huuN
kayaa chain milaa hai sar jo us kay
shaanon pey rakhey sisak rahii huuN
ik umr huii hai Khud sey laRRtey
ander sey tamaam thak rahii huuN
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
youn hosla Dil nay haara kab tha
Surtaan mera sitara kab tha
laazim tha guzarna Zindagi say
bin zehar piiay Guzaara kab tha
kuch pal Ussay Or dekh saktay
Ashkon ko magar Gawara kab tha
Hum khud bhi Judai ka Sabab thay
Uss ka hi Qasoor saara kab tha
Ab or k Saath hai to kaya dukh
Phelay bhi koi humaara kab tha
Ek naam pa zakham khil Uthay thay
Qaatil ki taraf Ishara kab tha
Aaey Ho to Roshni huwi hai
iss baam pay koi tara kab tha
dekha huwa ghar tha per kisi nay
Dulhan ki tarah Sanwaara kab tha
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
Duaa kaa TuuTaa hu’aa harf sard aah meN hai
Terii juda’ii kaa manzar abhii nigaah meN hai
Terey badalney k baa-vasf tujhko chaahaa hai
Yeh ai’tiraaf bhii shaamil merey gunaah meN hai
Azaab dey gaa tu phir mujhko Khwaab bhii degaa
MaiN mutma’iin huuN, meraa dil terii panaah meN hai
Jisey bahaar k mehmaan Khaalii chhoR gaye
Vo ek makaan abhii tak makiiN kii chaah meN hai
Yahii vo din they jab ek duusrey ko paaya thaa
Hamaarii saalgiraah thiik ab k maah meN hai
maiN bach bhii jaauuN to tanhaa’ii maar daaley gii
merey qabiilaa ka har fard, qatl-gaah meN hai
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
اجنبی
کھوئی کھوئی آنکھیں
بکھرے بال
شکن آلود قبا
لُٹا لُٹا انسان !
سائے کی طرح سے میرے ساتھ رہا کرتا لیکن
کِسی جگہ مل جائے تو
گبھرا کر مُڑ جاتا ہے
اور پھر دور سے جاکر مجھ کو تکنے لگتا ہے
کون ہے یہ
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
الوداعیہ
وہ جا چکا ہے
مگر جدائی سے قبل کا
ایک نرم لمحہ
ٹھہر گیا ہے
مِری ہتھیلی کی پشت پر
زِندگی میں
پہلی کا چاند بن کر !
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
Aankhon ney kaisey khawab taraashey hain in dinon
Dil per ajeeb rang utartey hain in dinon
Rakh apney paas apney mah-o-meher ay falak
Hum khud kisi ki aankh k taaarey hain in dinon
Dast-e-sehar ney maang nikaali hai baar'ha
Aur shab ney aa k baal sanwaarey hain in dinon
Is ishq ney hamen hi nahee mo'atadil kiya
Us ki bhi khushmizaji k charchey hain in dinon
Ik khushgawaar neend pey haq ban gaya mera
Wo rat jagey is aankh ney kaatey hain in dinon
Wo qehat-e-husn hai keh sabhi khush jamaal log
Lagta hai Qoh--qaaf pey rehtey hain in dinon

paani per bhi zaad-e safar men piyaas to letey hain
chaahney waaley aik dafa bin baas to letey hain
aik hi shehar men reh kar jin ko izn-e deed na ho
yehi bohat hai, aik hawa men saans to letey hain
rasta kitna dekha howa ho, phir bhi shah-sawaar
aerh laga kar apney haath main raas tu letey hain
phir aangan dewaaron ki unchaai men gum hon gay
pehley pehel ghar apnon k paas to letey hain
yehi bohat hai keh bachey khaali haath nahi hain
apney purkhon ki meraas to letey hain

raat ki raani ki khushboo sey koi yeh keh dey
aaj ki shab na merey paas aaye
aaj taskeen'e mashaam'e jaan ko dil k zakhmon ki mehek kaafi hai
yeh mehek aaj sar'e'shaam hi jaag uthi hai
ab yeh bheegi hui bojhal palkein
aur namnaak udaas ankhein liye
ratjagga aisey manaayen gi keh khud bhi jaagen
aur pal bher ko main bhi na soney paauun,
Deo'malaai fasaanon ki kisi muntazir'e mosam'e gul raajkumaari ki khizaan bakht
dukhi rooh ki maanind
bhatakney k liye
koo ba koo abr'e pareshaan ki terha
jaye gi
door uftadah samander k kinaarey bethi
pehron us simt takey gi jahan sey aksar
us k gum'gashtah jaziiron ki hawa aati hai
gaye mosam ki shanasa khushboo
yoon rag'o pay men uter'ti hai
keh jaisey koi chamkila ru'pehla saayal
jism men aisey saraayet ker jaaey
jesey sehraaon ki sheryaanon men
pehli barish
ghair mehsoos sarosh'e nikhat
zehen k haat men woh ism hai
jis ki dastak
yaad k band darichon ko barri narmi sey
aisey kholey gi keh aangan mera
har darichey ki alag khushboo sey
rang dar rang chhalak jaye ga,
yeh dil'aawaiz khazaney merey
merey piyaron ki ataa bhi hain
merey dil ki kamaii bhi hain
in k hotey huey auron ki zaroorat kaya hai
raat ki raani ki khushboo sey koi yeh keh dey
aaj ki shab na mere paas aaye.....

Apni ruswaai mein terey naam ka charcha dekhuun
Aik zara shair kahuun aur kaya kaya dekhuun
Neend aa jaaye to kaya mehfilen berpa dekhuun
Aankh khul jaaye to tanhaai ka sehraa dekhuun
Sham bhi ho gayi dhundla gayin aankhen meri
Bhoolney waaley’ kab tak tera rasta dekhuun
Ik ik ker key chhorr gayeen sab sukhiyan
Aaj mein khud ko teri yaad men tanha dekhuun
Kaash sandal sey meri maang ujaaley aa ker
Itney ghairon men’ wahi haath apna dekhuun
Tu mera kuch nahin lagta mager jaan-e-hayat
Jaaney kiun terey liye dill ko dharkta dekhuun
Band ker key meri aankhen woh sharaarat sey hansay
Boojhey jaaney ka main her roz tamasha dekhuun
Sab zidden main usski puri keroun’her baat sunoon
Aik bachey ki terha us ko hansta dekhuun
Muj pey chhaa jaaye bersat ki khusboo ki terha
Ang ang apna uski ruut men mehkta dekhuun
Phool ki terha merey jism ka her lab khul jaaye
Pankhri pankhri un honton ka saaya dekhuun
Main ney jis lamhey ko pooja hai’ usay bas aik baar
Khawab ban ker teri aankhon men uter;ta dekhuun
Tu meri terha yakta hai magar merey habeeb !
Jee main aata hai’ koi aur bhi tujh sa dekhoun
Toot jaayen keh pighal jaayen merey kachey gharey
Tujh ko main dekhuun ya aag ka derya dekhuun