Kahan Tha Itna Azaab Aashna Mera Chehra
Jaley Chiragh To Bujhney Laga, Mera Chehra
Woh Terey Hijar K Din Woh Safeer Sadiyon K
Tu Un Dinon Men Kabhi Dekhta Mera Chehra
Judaiyon K Safar Men Rahey Hain Saath Sada
Teri Talash, ZaManey, Hawa, Mera Chehra
Merey Siwa Koi Itna Udaas Bhi To Na Tha
Khizaan K Chand Ko Achaa Laga Mera Chehra
Kitaab Khol Raha Tha Woh Apney Maazi Ki
Warq Warq Pey Bikharta Gaya Mera Chehra
Sehar K Noor Sey Dhulti Hui Teri Aankhein
Safar Ki Gard Men Lipta Hua Mera Chehra
Hawa Ka Aakhri Bosa Tha Ya QayaMat Thi?
Badan Ki Shaakh Sey Phir Gir Parra Mera Chehra
Jisey Bujha K Hawa Sogwaar Phirti Hai
Woh ShaMMa-E-ShaaM-E-Safar Thi Keh Mera Chehra
Yeh Log Kyun Mujhey Pehchaantey Nahi Mohsin
Main Sochta Hoon Kahaan Reh Gaya Mera Chehra...
No comments:
Post a Comment