Monday, 27 February 2012

kamaal-e-zabt ko main khud bhi to aazmaaun gi




kamaal-e-zabt ko main khud bhi to aazmaaun gi
Main apney haath sey uski dulhan sajaaun gi

supurd kar k usey chaandni k haathon men
main apney ghar k andheron ko laut aaun gi

badan k karb ko woh bhi samajh na paaye ga
main dil men rouun gi aankhon men muskaraaun gi

woh kaya gaya keh rafaqat k saarey lutf gaye
main kis sey rooth sakuun gi kisey manaaun gi

woh eik rishtaa-e-benaam bhi nahiin laikin
main ab bhi us k ishaaron pey sar jhukhaaun gii

bichaa diya tha gulabon k saath apna wajood
woh sou k uthey to khawaabon ki raakh uthauun gi

ab us ka fan to kisi aur sey mansoob hua
main kis ki nazam akeley men gungunaaun gi

javaz dhoondh raha thaa nayee mohabbat ka
woh keh raha tha keh main us ko bhool jaauun gi

samaaton men ghanay junglon ki saansein hain
main ab kabhi teri awaaz sun na paauun gi


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets