Saturday 18 February 2012

Meray chaara saaz bhi ro parray, wo kamaal-e-zabt dikha dia



Barri pur sakoon thi zindagi, naya derd kis nay jaga dia
Kisi bay nayaaz nigah nay, meri wehshaton ko barrha dia

Meray kam'sukhan ka yeh hukam tha, keh kalaam us say main kam karuun
Meray hont aesay silay keh phir, meri chup nay us ko rula dia


Mujhay apnay ishq pay naaz tha, magar us kay qaul ka pass tha
Meray chaara saaz bhi ro parray, wo kamaal-e-zabt dikha dia


Usay shair sun'nay ka zauq tha, mujhay arz-e-haal ka shauq tha
Isi zauq-o-shauq men aik din, usay dil ka haal suna dia


Wo nigah kesi nigah thi, yeh guraiz kesa guraiz hay
Mujhay dekh kay bhi na dekhna, is ada nay raaz bata dia


Kisi naam say kisi yaad say, meray dil ki bazm saji rahi
Kabhi yeh chiraagh jala dia, kabhi wo chiraagh jala dia.


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets