mujhe tujhsey ishq nahin nahin
magar ay hasina-e-naaznin
tu ho mujhsey door agar kabhi
tujhey dhhondti ho nazar kabhi
to jigar men uth'ta hai dard sa
mera rang rehta hai zard sa
magar ay hasina-e-naaznin
mujhey tujhsey …….
magar ay hasina-e-naaznin
tu ho mujhsey door agar kabhi
tujhey dhhondti ho nazar kabhi
to jigar men uth'ta hai dard sa
mera rang rehta hai zard sa
magar ay hasina-e-naaznin
mujhey tujhsey …….
mujhey tujhsey ishq nahin nahin
magar ay hasina-e-naaznin
tu kahin ho majma-e-aam men
kisi khel men kisi kaam men
to main chhup k door hi door sey
tujhey dekhta hoon ghuroor sey
magar ay hasina-e-naaznin. …..
magar ay hasina-e-naaznin
tu kahin ho majma-e-aam men
kisi khel men kisi kaam men
to main chhup k door hi door sey
tujhey dekhta hoon ghuroor sey
magar ay hasina-e-naaznin. …..
Mujhey tujhsey ishq nahin nahin
magar ay hasina-e-naaznin
tu kahey yeh mujhsey agar kabhi
hamen laa do laal-o-gauhar kabhi
to main door door ki soch loon
main falak sey taarey bhi noch loon
woh suboot-e-shauq- e-kamaal doon
terey paaon mne unhen daal doon
magar ay hasina-e-naaznin
mujhey tujhsey ishq nahin nahin
magar ay hasina-e-naaznin
tu kahey yeh mujhsey agar kabhi
hamen laa do laal-o-gauhar kabhi
to main door door ki soch loon
main falak sey taarey bhi noch loon
woh suboot-e-shauq- e-kamaal doon
terey paaon mne unhen daal doon
magar ay hasina-e-naaznin
mujhey tujhsey ishq nahin nahin
No comments:
Post a Comment