Be 'rukhi tum ney bhi kii, uzar-e-zamana kar k
hum bhi mehfil say uth aaey hain, bahana kar k
kitni baateN, keh na kehna thiiN, woh keh bheji hain
ab pashemaan hain, qaasid ko ravana kar k
jaanty hain, wo tunak khoo hay, so apna ehvaal
hum suna dety hain, aouroN ka fasana kar k
kaya kahen, kaya hay un aankhoN men, keh rakh deti hain
aik achay bhalay insaaN ko deewana kar k
koi veerana-e-hasti ki khabar kaya lataa
khud bhi hum bhool gaey, dafn khazana kar k
aankh masroof-e-nazara thi, to hum khush thay Faraz
uss ney kaya zulm kiya, dil men thikana kar k
No comments:
Post a Comment