bhiiR meN ik ajnabii kaa saamna achcha lagaa
sab sey Chhup kar vo kisii kaa dekhna achcha lagaa
surmaii aankhoN k niichey phuul sey khilney lagey
kehtey kehtey kuch kisii kaa sochna achcha lagaa
baat to kuch bhii nahiN thii lekin us kaa ek dam
haath ko hoNto pey rakh kar rokna achcha lagaa
chaaye men chiini milaana us ghaRii bhayaa bahot
zer-e-lab vo muskrataa shukriyaa achcha lagaa
dil meiN kitney ehd baaNdhey they bhulaaney k usey
vo milaa to sab iraadey toRnaa achcha lagaa
be iraadah lams kii vo sansanii pyarii lagii
kam tavajj’o aankh kaa vo dekhna achcha lagaa
niim shab kii Khamshi meN bhiigti saRkoN pe kal
terii yaadon k jilau meN ghuumna achcha lagaa
us udu-e-jaaN ko 'Amjad' maiN buraa kaisey kahuN
jab bhii aayaa saamney vo bevafaa achcha lagaa
No comments:
Post a Comment