Friday 2 March 2012

hai ishq aik rog, mohabbat azaab hai




ham thay hamarey saath koi teesra na tha
aisa haseen din kahee'n daikha suna na tha

aankho'n men uski tair rahey thay haya k rung
palkai'n uttha k meri taraf daikhta na tha

kuch aisey uss ki jheel si aankhain thiin harr taraf
ham ko siwaye doobney k raasta na tha

uskey tau ang ang men jalney lagey diye
jadoo hai merey haath men mujhko pata na tha

saanso'n men thay ghulab tau honto'n pe chaandni
inn manzaro'n sey main tau kabhi aashna na tha

roya kuch iss tarah merey shaney sey lag k woh 
aisa laga keh jaisey kabhi be_wafa na tha

hai ishq aik rog, mohabbat azaab hai
ikk rauz yeh kharab karengey kaha na tha

AMJAD waha'n pey hadd koi rehti bhi kiss tarah
rukney ko keh raha tha magar rokta na tha

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets