aaNkhoN ka raNg, baat ka lehja badal gayaa
vo shaKhs ek shaam meN kitnaa badal gayaa
kuch din to mera aks raha aaiiney pey naqsh
phir yuuN huaa, keh khud meraa chehraa badal gayaa
jab apney apney haal pey hum tum na reh sakey
to kayaa huaa jo ham sey zamanah badal gayaa
qadmoN talay jo rait bichhi thii vo chal paRii
us ney chhuRaya haath to sehra badal gayaa
koyii bhi chiiz apni jagah par nahiN rahii
jaatey hii ek shaKhs k, kayaa kayaa badal gayaa
ik sarKhushi ki mauj ney kaisa kiyaa kamaal
wo bay-nayaaz saaraa ka saaraa badal gayaa
uTh kar chalaa gayaa koii waqfey k darmiyaaN
pardaa uThaa to saara tamashaa badal gayaa
hairat sey saarey lafz usey dekhtey rahey
baatoN meN apni baat ko kaisaa badal gayaa
kehney ko ik sehan meN diivaar hii bani
ghar ki fizaa makaan ka naqsha badal gayaa
shaayad vafa kay khel sey uktaa gayaa tha vo
manzil kay paas aa kay jo rasta badal gayaa
qaayem kisii bhi haal pay duniya nahiN rahi
ta’biir kho gayii kabhi sapnaa badal gayaa
manzar ka rang asal meN saaya tha rang kaa
jis ney usey jidhar say bhi dekhaa, badal gayaa
andar k mausmoN ki khabar us ko ho gayi
us nau-bahaar-e-naaz ka chehra badal gayaa
aankhoN meN jitney ashk they jugnuu sey ban gaye
vo muskuraaya aur merii duniyaa badal gayaa
apni galii meN apna hi ghar dhuuNDhtey haiN log
Amjad yeh kaun shehar ka naqsha badal gayaa!
No comments:
Post a Comment