Saturday, 3 March 2012

chehrey pey merey zulf ko phailaao kisii din




chehrey pey merey zulf ko phailaao kisii din
kayaa roz garajtey ho, baras jaao kisii din

raazoN kii tarah utro merey dil meN kisii shab
dastak pey merey haath kii khul jaao kisii din

paiRRoN kii tarah husn kii baarish meiN nahaa luuN
baadal kii tarah jhuum k ghir aao kisii din

Khushbuu kii tarah guzro merey dil kii galii sey
phuuloN kii tarah mujh pey bikhar jaao kisii din

phir haath ko Khairaat miley band-e-qabaa kii
phir lutf-e-shab-e-vasl ko doharaao kisii din

guzreN jo merey ghar sey to ruk jaayeN sitaarey
is tar’ha merii raat ko chamakaao kisii din

maiN apnii har ik saaNs usii raat ko dey duuN
sar rakh k merey siiney pey so jaao kisii din

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets