ab k safar kuChh aur thaa, aur hii kuChh saarab they
dasht-e-talab meN jaa ba jaa, saNg-e-giraan-e-Khwaab they
hashr k din ka ghulghula shehar k baam-o-dar meN thaa
nigley huey sawaal they, ugley huey jawaab they
ab k baras bahaar ki rut bhii thii inetzaar ki
lehjoN meN sail-e-dard thaa, aankhoN meN izteraab they
KhwaaboN k chaaNd Dhal gaye, taaroN k dam nikal gaye
phuuloN k haath jal gaye, kaisey yeh aaftaab they
sail ki rehguzar huey, hoNT na phir bhi tar huey
kaisi ajiib piyaas thii, kaisey ajiib sahaab they
umr isii tazaad meN, rizq-e-ghubaar ho gayii
jism thaa aur azaab they, aankheN thiiN aur Khwaab they
subah huii to shehar k shor meN yuuN bikhar gaye
jaisey voh aadmii na the, naqsh-o-nigaar-e-aab they
aankhoN meN Khuun bhar gaye rastoN meN hii bikhar gaye
aaney sey qabl mar gaye, aise bhii inqilaab they
saath voh ek raat ka, chashm-e-zadan ki baat thaa
phir na vo iltefaat thaa, phir na vo ijtinaab they
rabt ki baat aur hai, zabt ki baat aur hai
yeh jo fishaar-e-khaak hai, is meN kabhii gulaab they
abr baras k khul gaye, jii k ghubaar dhuul gaye
aankh meN ruunuma huey, shahr jo zair-e-aab they
dard ki rehguzar meN, chaltey to kis khumaar meN
chashm keh be-nigaah thii, hoNT keh be-khitaab they
No comments:
Post a Comment