apney ghar ki khiRki sey maiN aasman ko dekhuN ga
jis par tera naam likha hai us taarey ko dhuunDuN ga
tum bhi har shab diya jala kar palkoN ki dehliiz pey rakhna
maiN bhi roz ik khwaab tumharey shehar ki jaanib bhejuuN ga
hijr k darya meN tum paRhna lehroN ki tehriireN bhi
paani ki har satar pey maiN kuChh dil ki baateN likhuuN ga
jis tanha sey paiRR k niichey ham baarish meN bhiigey they
tum bhi us ko Chhuu k guzarna maiN bhi us sey liptuuN ga
Khwaab musafir lamhoN k haiN saath kahaaN tak jaayeN gey
tum ney bilkul Thhiik kaha hai , maiN bhi ab kuch sochuuN ga
baadal oaRRh k guzruN ga maiN terey ghar k aangan sey
qos-e-qaza k sab rangoN meN tujh ko bhiiga dekhuuN ga
raat gaye jab chaand sitaarey lukan miiTi kheleN gey
aadhi neeNd ka sapna ban kar maiN bhi tum ko Chhuu luuN ga
be mausam baarish ki suurat dair talak or duur talak
terey diyaar-e-husn pey maiN bhii kin min kin min barsuun ga
sharm sey dohra ho jaye ga kaan paRa voh bunda bhi
bad-e-Saba k lehjey meN ik baat maiN aisi puuChhuuN ga
safha safha ik kitaab-e-husn si khulti jaaye gi
aur isii ki lau meN phir maiN tum ko azbar kar luun ga
vaqt k ik kankar ney jis ko aksoN meN taqsiim kiya
aab-e-rawaN meN kaisey Amjad ab voh chehra joRuuN ga
No comments:
Post a Comment