tuluu-e-shams-e-mufaaraqat hai
puranii kiraneN naye makaanoN k aaNganoN meN laraz rahii haiN
fasiil-e-shehar-e-vafa k rozan chamaktey zarroN sey bhar gaye haiN
gaye dinoN kii aziz baateN, nigaar subaheN gulaab raateN
bisaat-e-dil bhii ajiib shai hai, hazaar jiiteN hazaar maateN!
judaaiyoN kii havaayeN lamhoN kii Khushk maTTii uRaa rahii haiN
gayii rutoN kaa malaal kab tak?!
chalo keh shaaKheN to TuuTtii haiN
chalo keh qabroN pey Khuun roney sey
apnii aaNkheN hii phuuTtii haiN
yeh moR voh hai jahaaN sey merey tumhaarey raste badal gaye haiN
puraanii raahoN ko lauTnaa bhii hamaarii taqdiir meN nahiiN hai
keh raastey bhii hamaarey qadamoN k saath aagey nikal gaye haiN
tuluu-e-shams-e-mufaaraqat hai
tum apnii aaNkhoN meN jhil_milaatey huey sitaaroN ko maut dey do
gayii rutoN k tamaam phuuloN tamaam KhaaroN ko maut dey do
naye safar ko hayaat baKhsho
ke piChhlii raahoN pey sabt jitney nuquush-e-paa haiN
voh baar hoNgey
havaa uRRaaye keh tum uRRaao!
No comments:
Post a Comment