Gum Sum Huwa Awaaz Ka Darya Tha Wo Ek Shakhs
Pathar bhi naheen ab woh sitara tha jo ik shakhs
Shayad woh bhi koi harf-e-wafa dhoond raha tha
Chehron ko barray ghor sey parhta tha woh ik shaks
Sehraa kee tarah dair sey pyasa tha woh shayad
Baadal kee tarah toot key barsa tha woh ik shakhs
Ay taiz hawa kuch khabar us kay janoon kee!
Tanha safr-e-shouq pey nikla tha jo ik shakhs
Ab aakhree satron men kaheen naam hai us ka
Ehbaab kee feh'rist men pehla tha jo ik shakhs
Haathon men chhupaaey huay phirta hai kaii zakham
Sheeshay key khilonon sey behalta tha jo ik shakhs
Mur mur key usay dekhna chahain meri aankhain
Kuchh door mujay chhornay aaya tha jo ik shakhs
Har zehan men kuchh naqsh-e-wafa chhorr gaya hai
Kehnay ko bharay shehar men tanha tha jo ik shakhs
Munkar hai wohee ab meri pehchan ka Mohsin
Aksar mujay khat khoon sey likhta tha jo ik shakhs
No comments:
Post a Comment