Sunday 4 March 2012

Wafa men ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai




Wafa men ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
Wo such kahey na kahey aitbaar karna hai

Yeh tujh ko jaagtey rehnay ka shauq kab say hua
Mujhey toh khair tera intezaar karna hai

Hawa ki zadd men jalaaney hain aansoo-on kay chiraagh
Kabhi yeh jashn sar-e-rah guzaar karna hai

Wo muskura kay nayee waswason men daal gaya
Khayal tha keh usay sharmsaar karna hai

Misaal-e-shaakh-e-barehna khizaan ki rut men kabhi
Khud apnay jism ko bay barg-o-baar karna hai


Tairay firaaq men din kis tarha kattey apnay
Keh shugal-e-shab toh sitaarey shumaar karna hai

Chalo yeh askh hi moti samajh kar baich aayen
Kisi tarha toh humein rozgaar karna hai

Kabhi toh dil men chupay zakham bhi numaayan hon
Kaaba samajh kay badan taar taar karna hai

Khuda khabar yeh koi zidd keh shauq hai Mohsin
Khud apni jaan kay dushman say pyaar karna hai

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets