khushbu hai woh to chhuu k badan ko guzar na jaaye
jab tak merey wajud k andar utar na jaaye
khud phuul ney bhi hont kiye apney niim-wa
chori tamaam rang ki titli k sar na jaaye
chori tamaam rang ki titli k sar na jaaye
is khauf sey woh saath nibhaney k haq men hai
kho kar mujhey yeh larki kahin dukh sey mar na jaaye
kho kar mujhey yeh larki kahin dukh sey mar na jaaye
palkon ko us ki apney dupattey sey poonch duun
kal k safar men aaj ki gard-e-safar na jaaye
kal k safar men aaj ki gard-e-safar na jaaye
main kis k hath bhejun usey aaj ki dua
qasid hawa sitara koi us k ghar na jaaye
qasid hawa sitara koi us k ghar na jaaye
No comments:
Post a Comment