Saturday, 3 March 2012

koii zaNjiir ho, us ko muhabbat toRR saktii hai




koii zaNjeer ho,
aahan kii, chaandii kii, rivaayat kii,
muhabbat toRR saktii hai!


yeh aisii Dhaal hai jis par
zamaaney kii kisii talwaar kaa lohaa nahiiN chaltaa!
yeh aisaa shehar hai jis meN
kisii aamir, kisii sultaan kaa sikkaa nahiiN chalta!
agar chashm-e-tamaashaa meN zaraa sii bhii milaavaT ho
yeh aaina nahiiN chaltaa!


yeh aisii aag hai jis meN
badan sholoN meN jaltey haiN, to ruuheN muskuraatii haiN
yeh voh sailaab hai jis ko
diloN kii bastiiyaaN aavaaz dey kar Khud bulaatii haiN


yeh jab chaahey kisii bhii Khwaab ko taabiir mil jaaye
jo manzar bhuj chukey haiN, un ko bhii tanviir mil jaaye
dua, jo be_Thikaanaa thii, usey taasiir mil jaaye
kisii rastey meN rastaa puuChtii taqdiir mil jaaye


muhabbat rok saktii hai samay k tez dhaarey ko!
kisii jaltey sharaarey ko, fanaa k istayaarey ko!
muhabbat rok saktii hai kisii girtey sitaarey ko!
yeh chaknaa chuur aainey k raizey joRR saktii hai
jidhar chaahey yeh baageN mausmoN kii moRR saktii hai!

koii zaNjiir ho, us ko muhabbat toRR saktii hai!!!!


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets