Saturday, 3 March 2012

laboN pey phuul khiltey haiN kisi k naam sey pehley



laboN pey phuul khiltey haiN kisi k naam sey pehley
diloN k diip jaltey haiN chiraagh-e shaam sey pehley

kabhi manzar badalney par bhi qissa chal nahiiN paata
kahaani khatam hoti hai kabhi anjaam sey pehley

yahi taarey tumhaari aankh ki chilman meN rehtey they
yahi suuraj nikalta tha tumhaarey baam sey pehley

diloN ki jagmagaati bastiyoN pey raaj kartey haiN
yahi jo log lagtey haiN nihaayat aam sey pehley

hui hai shaam jungle meN parindey lauTtey hoNgey
ab un ko kis tarah rokeN navaa-e-daam sey pehley

ya saarey rang murda they tumhaari shakl ban_ney tak
ya saarey harf mohmal they tumhaarey naam sey pehley

hua hai voh agar munsif to Amjad ehtiyaatan ham
saza tasliim kartey haiN kisi ilzaam sey pehley


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets