Agar kabhi meri yaad aaey
to chaand ratooN ki dilgeer roshni meN
kisi sitarey ko dekh laina
agar voh nakhal falak sey uttr kar tumhaarey qadmoN meN aa girey to
yeh jaan laina, keh voh istaa`ra tha merey dil ka,
agar na aaey......
magar yeh mumkin he kis tarah hai keh tum kisi par nigaah daalo
to uski deewar-e-jaaN na TooTey
voh apni hastee na bhool jaaey
agar kabhi meri yaad aaey
guraiz kartee hava ki lehroN pay haath rakhna
maiN khushbooN meN tumhaiN milooN_ga
mujhey gulaab ki pattiyoon meN talaash karna
maiN a'us qatroon k aainooN men tumhaiN milooN ga
agar sitaroN meN, a'us qatroN meN, khushbooN meN na paao mujhko
to apney qadmoN meN dekh laina
main gard hotee musafatoN meN tumhaiN milooN ga
kaheeN pay roshan chiragh dekho to jaan laina
keh her patangey k saath maiN bhi bikhar chuka hooN
tum apney haathoN sey un patangoN ki khaak samandaroN meN dal daina
Main Khaak bun kar samandaroN meN safar karoon ga
kisi na dekhey huey jazerey pay ruk k tumko sadaayeN dooN ga
samandaron k safar pay niklo to us jazeerey pay bhi utarna
No comments:
Post a Comment