Khwaab-nagar hai aaNkheN kholey dekh rahaa huuN
us ko apnii jaanib aatey dekh rahaa huuN
kis kii aahaT qarya qarya phail rahii hai
diivaaroN k raNg badaltey dekh rahaa huuN
kaun merey jaaduu sey bach kar jaa saktaa hai!
aaiinaa huuN, sab k chehrey dekh rahaa huuN
darvaazey par tez havaaoN kaa pehraa hai
ghar k andar chup k saaye dekh rahaa huuN
jaisey meraa chehraa merey dushman kaa ho
aaiiney meN Khud ko aisey dekh rahaa huuN
manzar manzar viiraanii ney jaal taaney haiN
gulshan gulshan bikhrey pattey dekh rahaa huuN
manzil manzil haul meN Duubii aavaazeN haiN
rastaa rastaa Khauf k pehrey dekh rahaa huuN
shehr-e-saNg dilaaN meN Amjad har rasteY par
aavaazoN k patthar chalteY dekh rahaa huuN
No comments:
Post a Comment