Bay nayaaz-e-gham-e-paymaan-e- wafa hojaana
Tum bhi auron ki tarah mujh say judaa hojaana
Main bhi palkoun pay saja loonga lahoo ki boondain
Tum bhi paa'basta-e-zanjeer-e-hina hojana
Gar chay ab qurb ka imkaan hai bohat kam phir bhi
Kahin mil jaayen to tasveer numa hojana
Sirf manzil ki talab ho to kahaan mumkin hai
Dosroon k liye khud aabla paa hojana
Khalq ki sangzani meri khata'aon ka silaa
Tum to masoom ho tum door zara hojaana
Ab meray waastey taryaaq hay ilhaad ka zehar
Tum kisi or pujaari k khuda hojana!!
No comments:
Post a Comment