Kab talak shab k andheray men sehar ko tarsay
Wo musaafir jo bharay shehar men ghar ko tarsay
Aankh thehray huay paani say bhi katraati hai
Dil wo reh'roo keh samandar k safar ko tarsay
Mujh ko us qehat k mausam say bacha rub_e_sukhan
Jab koi ehal_e_hunar, arz_e_hunar ko tarsay
Ab k is taur musal'lat hua andhera her soo
Hijer ki raat meray deeda_e_tar ko tarsay
Umer itni to ataa ker meray fun ko khaliq
Mera dushman meray marnay ki khabar ko tarsay
Us ko paa ker bhi usay dhoond rahi hain aankhein
Jaisay paani men koi seep gohar ko tarsay
Na_shanasaaii k mausam ka asar to dekho
Aaina khaal_o_khad_e_aaina gar ko tarsay
Ek dunya hai keh basti hai teri aankhon men
Wo to hum thay jo teri ek nazar ko tarsay.... .
No comments:
Post a Comment