Sunday, 4 March 2012

dil k aatishdaan meN shab bhar



dil k aatishdaan meN shab bhar
kaisey kaisey gham jaltey haiN!

niind bhara sannaaTa jis dam
basti ki ik ek gali meN
khiRki khiRki tham jaata hai
diivaaroN par dard ka kohra jam jaata hai
rasta takney vaali aankheN aur qandiileN bujh jaati haiN
to us lamhey,
teri yaad ka iindhan ban kar
shola shola ham jaltey haiN
duuri k mausam jaltey haiN

tum kaya jaano,
qatrah qatrah dil meN utarti aur pighalti
raat ki suhbat kaya hoti hai!
aankheN saarey Khwaab bujha deN
chehrey apney naqsh ganvaa deN
aur aainey aks bhulaa deN
aisey meN umiid ki vehshat
dard ki suurat kaya hoti hai!

aisii tez hava meN pyaarey
baRRey baRRey munh zor diye bhi kam jaltey haiN
lekin phir bhii ham jaltey haiN
ham jaltey haiN aur hamaarey saath
tumhaarey gham jaltey haiN
teri yaad ka iindhan ban kar ham jaltey haiN!


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets