voh chanchal albeli laRki meri nazmeN yuuN paRhti hai
jaisey un nazmoN ka mehwar
us kii apni zaat nahiiN hai,
(yaani itni sundar laRki aur koii bhii ho sakti hai!)
jaisey us ko ilm nahiiN hai yeh saari baateN us kii haiN
saari ghaateN us kii haiN
har aahaT hai us kii aahaT, sab saaye haiN us k saaye
saarey mehmal us k haiN
har Khushbu hai us kii Khushbu, sab chehrey haiN us k chehrey
saare aanchal us k haiN
jaisey us ko ilm nahiiN hai us laRki k saarey kaam
saarey naam usii k haiN
her khiRki hai us kii khiRki, saarey baam usii k haiN
us laRki k naam sey jo kuChh maiN ney apney naam likha hai
us sey hi mansuub hua hai
(shaayad mera veham ho lekin maiN ney yeh mehsuus kia hai)
jab maiN nazm sunaata huuN voh aankh churaaney lagti hai
mujh sey nazareN mil jaayeN to voh sharmaaney lagti hai
kuChhh lamhey voh chanchal laRki gum sum sii ho jaati hai
lekin thoRi der meN phir sey pathar kii ho jaati hai
jaisey meri nazm kii laRki!!
No comments:
Post a Comment