koii mausam ho dil meN hai tumhaari yaad ka mausam
keh badlaa hii nahiiN janaaN tumhaarey baad ka mausam
nahiiN to aazmaa kar dekh lo, kaisey badaltaa hai
tumhaarey muskuraaney sey dil-e-naashaad ka mausam
Sad'aa taishey sey jo nikli, dil-e-shiriiN sey uThii thii
Chaman Khusroo ka thaa laikin, raha farhaad ka mausam
ParindoN ki zubaaN badli, kahiN sey DhuuND ley tu bhii
Nayyii tarz-e-fuGhaaN aaye dil keh hai eejaad ka mausam
ruttoN ka qaaeyda hai waqt par yeh aati jaati heN
hamaarey shehar meN kyuN ruk gaya faryaad ka mausam
kahiiN sey us hasiiN aavaaz ki khushbuu pukaarey gii
to us k saath badley gaa dil-e-barbaad ka mausam
qafas k baam-o-dar meN raushani si aayii jaatii hai
chaman meN aa gaya shaayad lab-e-aazaad kaa mausam
merey shehar-e-parishaaN meN terii be chaand raatoN meN
bahot hi yaad kartaa hooN terii buniyaad ka mausam
na koii gham khizaaN kaa hai, na Khwaahish hai bahaaroN kii
hamaarey saath hai Amjad kisii kii yaad ka mausam
No comments:
Post a Comment