yeh jo raig-e-dasht-e-firaq hai yeh rukey agar
yeh rukey agar to nishaaN miley,
yeh nishaaN miley
keh jo faasiloN kii saliib hai
yeh gaRRi hui hai kahaaN kahaaN
merey aasmaaN sey kidhar gayii terey iltefaat ki kehkashaaN
merey be_Khabar, merey be_nishaaN
yeh rukey agar to pata chaley
maiN thaa kis nagar tuu rahaa kahaaN
keh zamaaN makaaN ki yeh wusateN
tujhey dekhney ko taras gayiiN
voh merey nasiib ki baarisheN
kisi aur Chhat pey baras gayiiN
merey chaar suu hai ghubaar-e-jaaN,
voh fishaar-e-jaaN,
keh Khabar nahiiN merey haath ko merey haath kii
merey Khwaab sey terey baam tak
teri rehguzar ka to zikr kaya
nahiiN zaufishaN tera naam tak
haiN dhuaaN dhuaaN merey ustKhwaaN
merey aansuuoN meN bhujey huey merey ustKhwaaN
merey naqsh gar merey naqsh-e-jaaN
isii raig-e-dasht-e-firaaq meN rahey muntazir
terye muntazir...!!!
merey Khawab jin k fishaar meN
rahi merey haal sey beKhabar teri rehguzar
teri rehguzar k jo naqsh haiN merey haath par.....
magar is balaa ki hai tiirgi
keh Khabar nahiiN merey haath ko merey haath ki
voh jo chashm-e-shobadaa saaz thii, woh uThey agar
merey ustKhwaaN meN ho raushni
ussi ek lamha-e-diid meN teri rehguzar...!!
meri tiirah jaaN meN chamak uThey
merey Khawab sey terey baam tak,
sabhii manazroN meN damak uThhey
usii ek pal meN ho jaavidaaN
meri arzuu keh hai bekaraaN
meri zindagi keh hai muKhtasar
yeh jo raig-e-dasht-e-firaq hai, yeh rukey agar.....
No comments:
Post a Comment