Monday, 13 February 2012

Ay Shaam Usay Batana





Ay Shaam Usay Batana
Saraab Us Ki jUstajOo Kay
Nisaab Us Ki AarzOo Kay
Chaar Soo Bikhray Huye Hain
Kasak RutOn Ki DaaStaanen
Har Eik Lafz Men Band Hain
Meri Aankhen Saaye Ki Manind Chup Hain
Magar In Men Basa Intezar
Ab Bhi Zinda Hai

Ay Shaam Usay Btana

Usay Apnay Ander Zinda Rakhtay Rakhtay
Meray Saaray Jazbay Jhulas Gaye Hain
Paas e Waffa Kay Bharam Men
Mera SakOon Jal Chuka Hai
Meri AankhOn Men Bus Raakh Hi Raakh Hai
Jin Men Har Lamha
Us ki mUhabbat Ki Chingarii
Bharakti Rehti Hai

Ay Shaam Usay Batana

Pehlay Bhi PaaniyOn Men Rehtay Thay
Ab Bhi Sumandar Men Ghar Banaya Hai
dOobtay SOoraj Ki Zard RoShni Sey
Khud Ko Iztarab K Singhar Sey Sajaya Hai
Dhalti Shaam Sey Ley Kar
Dhalti Shaam Tak
LahOo Ney Usi Ka Hi Rayaaz Kiya Hai
Jis Sey
Meri Khalvatien , Meri Jalvatien
Har Gharri Aabad Hain

Ay Shaam Usay Batana

Kaya Meri Saari Raaten
Firaaq Ki Rut Men Basar hOngi?
Or Mujhey Batana Keh

Mein Khud Ko Kaisay Samjhaaun
Keh AdhOori Khawaahish
HontOn Ko Khushk
Or AanhkOn Ko Num Rakhti Hai

Ay Shaam Usay Batana

Keh Is Barbaad , Geelay Nagar Men
Main Hi Nahi Wo Bhi Rehta Hai
Usay Kehna
Keh Meray Ander Wo Is Tarah Hai
Jis Tarah "ISHA" Men "Vitar"
Meray Saath Saath Bhi
Mujh Sey Juda Bhi

Ay Shaam Usay Batana....!!!

No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets