Meray ajnabi
meray bay-khabar
meray haath meN kahaan yeh hunar
keh main beech raah sey wapsi ka
khayaal dil men bhii la sakuN
tumhain choRR kar kisi moRR par
kisi aur rastay pey jaa sakuN
meray chaara-saz-o-rafiiq-e-jaaN
meray ajnabi meray aashna
koi aisa wesaa gumaaN na kar
mujhay teray sath sey baRh k to
kisi hamsafar ki talab nahi
keh jo haath men tera hath hey
to safar hii meri hayaat hey
yeh safar thamay ga….
to mera naam-o-nishaN kahan?
meray hamsafar
main teray bina
kahiN moat-o-zeest k darmiyaaN
na zameen meri na aasmaaN
meray badgumaaN meray meharbaaN
meray raah-bar
meri iltijaaoN pey dhayaaN kar
meri zindagi k safar ko dil sey dawaam day
meri manziloN ko dhuwaaN na kar
tera saath hey meri zindagi
mujhay is tarah be-amaaN na kar!!!!
No comments:
Post a Comment