Friday, 10 February 2012

Bujhnay lag jaaye’n to phir shammai’n jala di jaaye’n



Bujhnay lag jaaye’n to phir shammai’n jala di jaaye’n
meri aankhai’n merey dushman ko laga di jaaye’n

be hunr log kaha’n harf ki sachai kaha’n
ab kitabai’n kisi darya me’n baha di jaaye’n

un ki pehchaan ka dukh jaa’n sey guzr jata hai
ye shabeehai’n sir e aaina ganwa di jaaye’na

ab bicharnay ka saleeqa hai na milnay ka hunar
ishq me’n tuhmatai’n aaye’n to bhula di jaaye’n

yaa to khursheed chamakta rahay peshaani me’n
yaa lakeerai’n merey maathay ki mita di jaaye’n

kitni bhooli hui baatai’n hamai’n aaj us ki “Saleem”
yaad aai hai’n to ab us ko bata di jaaye’n




No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets