tu mubtala e gham e hijr! dil sanbhaal abhi
keh raastay men hai ik mausom e wisaal abhi
jabeen pay lau hai,salaamat hain khad o khaal abhi
dil e tabaah! kisi weham men na daal abhi
kahan aseer e zamana hua bhala woh shakhs
usay hai meri tal'ab aur mera khayaal abhi
baseet e dard say aagay,muheet e ranj kay paar
basa hua hai koi shehar e khush jamaal abhi
abhi jawaab dahi zauq e khusarwi men nhi
yeh log lab pay na laayen koi sawaal abhi
ajab nhi keh yeh basti bhi dasht men badlay
keh rum'zad'aa hai koi suurat e ghazaal abhi
ujaar na jaaey kahin dil, makeen kay aanay tak
hamin ko karni hai is ghar ki daikh bhaal abhi
palat kay dekh to ay akhtar e ghinwa e shubha
keh shab kay saath parra hai koi nidhaal abhi
No comments:
Post a Comment