Thursday, 9 February 2012

Aaj Ki Raat



Aaj Ki Raat

Aaj ki raat yaadoN kay kuch mehmaaN aanay waalay haiN

Aaj udaasi nay phir chheRaa hai saaz
Aaj dard phir kuch sunaaye ga
Tanhaayiii nay baaNdhay haiN ghuNgroo
Aaj waqt bhi thehar jaaye ga

ChaaNd ! apni chaaNdni idhar rakh jaanaa
Aanay haiN aaj kuchh bhoolay huay say chehray
Ashko ! aaj tum bhi ji bhar kay beh lenaa
Behal jaayeN aisay hi shaayad ahsaasaat kay safeenay
Naghmo !Aaj qadam saMbhaal saMbhaal kay rakhna
Aaj ki raat khawaaboN kay naam hai
In lamhoN ka hai chalan aisaa
Keh aaj tarpay gi takhleeq lefz dar lafz
Khaamoshi ka zehr sub ko pilaayaa jaayega

Aaj ki raat zindagi pay bhaari hai
Aaj jalaiN gay khwaahishoN kay alaav
HaNstay haNstay hoga aaj umeedoN ka qatl
Meri zindagi aaj phir mayzbaan bani hai
Woh baras jab jazbaat nay li thi pehli angRRaayii
Us baras ki yaad aaj mehmaan bani hai

Woh door ufaq pay uthtay haiN ghubaar
MehmaanoN kay qaafily pahuNchnay waalay haiN
Dard-e-dil ko saMbhaaluN ab main
Ay fizaa'o tum hawaaoN pay likh lena
BehoshiyoN men nazm jo banaa loon ab main



No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets