AaNsuoN ka hisaab rakhta hai
dil meN kitney azaab rakhta hai
jaaney kis ki hai qabr jis par
roz wo taazaa gulaab rakhta hai
jaag kar kaat_ta hai shab aksar
aur palkoN pey khwab rakhta hai
uljhaneN hain sabhi k seeney meN
kaun ab dil e inqlaab rakhta hai
woh jo aa jaaye to noor-sa bikhrey
aaNkh meN aaftaab rakhta hai
ab aaiina bhi bohat pareeshaN hai
rukh pey hardam naqaab rakhta hai
us ko yaad kii dhoop jab sataati hai
sar pey meri kitaab rakhta hai.
woh jo chahey to kaya nahiN hoga
yuN hi khana-kharaab rakhta hai.
gungunata hai chup k meri ghazal
shauq to woh lajawaab rakhta hai
sheikh jee us sey door door hi rehna
wo bohat purani sharaab rakhta hai
No comments:
Post a Comment