Pyaar k deep jalaaney waaley kuch kuch pagal hotey hein
Aur apni jaan sey jaaney waaley kuch kuch pagal hotey hein
Hijar k gehrey zakhm miley to mujhko yeh ehsaas hua
Pagal ko samjhaaney waaley kuch kuch pagal hotey hein
Jaan sey piyarey logon sey bhi kuch parda lazim hai
Saari baat bataaney waaley kuch kuch pagal hotey hein
Khawabon men bhi piya milan k sapney dekhtey rehtey hein
Neendon men muskaaney waaley kuch kuch pagal hotey hein
Aur is jhooti mandi men hum ney hamesha yehi dekha hai
Sachi baat bataaney waaley kuch kuch pagal hotey hein
Pyaar jin ko ho jaaey, un ko chain bhala kab milta hai
Shab bhar ashk bhahaaney waaley kuch kuch pagal hotey hein
Aur apni zaat k ujrrey gulshan sey na pyaar barrhaa
Gullon ko mehkaaney waaley kuch kuch pagal hotey hein
Us k Ishq men bheeg k Wasiq humko yeh ehsaas hua
Dil ki baat men aaney waaley kuch kuch pagal hotey hein
No comments:
Post a Comment