Ajab pagal si larki...!
Meri khamosh aankhon men,
Mehakti, muskurati, gungunati,
khawab si gehri mohabbat k sabhi rangon sey waqif hai...
Magar anjaan banti hai,
Wo meri beqarari k sabhi maani samajhti hai,
Magar khamosh rehti hai,
Usay maloom hai yeh be'tahasha bolney wala...!
Zamaney bhar k qissey, daastanen us sey kehta hai,
Her ek mozoo pey us sey baat kerta hai...
Woh us sey keh nahi sakta,
"Meri sochon k mehwar ho,
Tumhare bin mujhey yeh zindagi bekaar lagti hai,
Mera her din tumhari soch k suraj sey ugta hai,
Meri her shaam k pehloo men tum he muskurati ho,
Meri her raat karb-e-naarsai sey sulagti hai,
Ager khud sey tumhen minha karoon tou kuch nahi bachta..."
Usay maloom hai yeh shab gaye tak jaagney wala...!
Jisey khwabon ki duniya sey mohabbat si mohabbat hai,
Woh kyun soney sey darta hai?
Usay kaya khof lahaq hai?
Woh khul ker kyun nahi hansta?
Woh kyun chhup chhup k rota hai...?
Usay maloom hai sub kuch,
Mager anjaan banti hai...
Usay yeh kon samjhaaye?
Keh dil youn naarsai ki tapish ziada dino tak seh nahi sakta,
Jisey khwabon ki duniya sey mohabbat si mohabbat ho,
Woh khwabon k bina aisey adhoora reh nahi sakta,
Usay yeh kon samjhaye?
Keh us sey betahasha bolney waala...!
Jo her mozoo per uss sey baat kerta hai,
Kabhi yeh keh nahi sakta,
"Meri veraan aankhon men,
Kaii sapney samo jaao,
Tumharey bin adhoora hoon,
Meri takmeel ho jaao..."
Usay maloom hai sub kuch magar yeh kon samjhaye...
Ajab pagal si larki hay...!!
No comments:
Post a Comment