Thursday, 9 February 2012

Usay kehna






Usay kehna kitabon men rakhey sookhey huwey kuch phool,
Uskay laut aanay ka yaqin ab tak dilatay hain,
Usay kehna keh uski jheel si aankhein kisi manzar pey cha jayen,
To sab manzar yunhi phir bheeg jatay hain,
Usay kehna keh thandi baraf par koi kisi k sath chalta hai,
To qadmon k nishaan Phir sey usi k laut anay Ka yaqin dilatay hain,
Usay kehna keh uski aankho ka wo aansu,
Sitarey ki tarah ab bhi humein shab bhar jagata hai,
Usay kehna keh barish khirkiyon pey uskay aansu rangti hai,
Usi ka nam likhti hai,
Usay hi gungunati hai,
Usay kehna keh khushboo,chaandni,taarey,saba,rastey,ghata,kaajal,
Mohabbat,chaandni,shabnam,hawayen,raat,din,baadal.. Sabhi naraaz hain humsey!
Usay kehna judai k darakhton par jo sookhi tehniyan hain,
Wo saari baraf ki chaadar men kab ki dhakh chuki hain,
Aur un shaakhon pey yaadon k,
Jo pattey 
thay sunehrey hogaye hain,
Usay kehna december sogaya hai,
Aur wo bheega january phir laut aaya hai,
Usay kehna keh laut aao,
Ab december sogaya hai...




No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets