chaman roye hansey shabnam biyabaan par nikhaar aaye
ek aisa bhi naya mausam merey parvar-digaar aaye
wo sir kholey hamari laash par diwana'vaar aaye
isi ko maut kehtay hain to ya rab baar baar aaye
sar-e-gor-e-Ghareeban aao lekin yeh guzarish hai
wahan munh phair kar rona jahan mera mazaar aaye
baha ay chashm-e-tar aisa bhi ek aansu nadamat ka
jisey daaman pey lainay rehmat-e-parvar-digaar aaye
qafas k ho liye ham to magar ay ehal-e-gulshan tum
hamen bhi yaad kar lena chaman men jab bahaar aaye
na jaaney kaya samajh kar chup huun ay sayyaad main warna
wo qaidi huun agar chaahun qafas men bhi bahaar aaye
"Qamar" dil kyaa hai main to un ki Khaatir jaan bhi dey duun
meri qismat agar un ko na phir bhi aitabaar aaye
No comments:
Post a Comment