wafa men ab yeh hunar ikhtayar karna hai
wo sach kahay na kahay aitbaar karna hai
yeh tujh ko jaagtey rehney ka shauq kab sey hua ?
Mujhey to khair tera Intezaar karna hai
hava ki zad men jalaanay hain aansuon k chiraagh
kabhi yeh jashan sar e rah guzaar karna hai
woh muskura k naye waswasson men daal geya
Khayal tha keh ussey sharamsaar karna hai
misaal e shakh e barhana khizaan ki rut men kabhi
khud apney jism ko bey'barg o baar karna hai
terey firaaq men din kis tarha kaatain apney
keh shughal e shab to sitarey shumaar karna hai
chalo yeh ashk hi moti samajh k baich aayen
kisi tarha to humain rozgaar karna hai
kabhi to dil men chupey zakham bhi numayaan hon !
quba samajh kar badan ko taar taar karna hai
KHUDA khabar yeh koi zid keh shauq hai Mohsin
khud apni jaan k dushman sey pyar karna hai
No comments:
Post a Comment