wusat-e-chashm-e-tar bhi daikhain gay
hum tujhay bhool kar bhi daikhain gay

"zakhm per sabt kar na lab apnay
zakhm ko chaara gar bhi daikhain gay

hijr ki shab say hoslay apnay
bach gaey to sehar bhi daikhain gay

raat honay do,log sonay do
chand ko dar-ba-dar bhi daikhain gay

ik "dua" dil say chup kay maangi thi
us "dua" ka assar bhi daikhain gay

ik puraana safar to khatm huwa
ik nayi rahguzar bhi daikhain gay

gin to lainay do baykafan laashein
bay sada baam-o-dar bhi daikhain gay

chhairr kar dil ki raakh ko Mohsin
ab k raqs-e-sharar bhi daikhain gay