Thursday, 2 February 2012

Merey dushmanon sey kaho koi




Merey dushmanon sey kaho koi....!!
Kisi gehri chaal k ehtemaam ka silsila hi fuzool hey
Keh shikast yun bhi qubool hey
Kabhi hosley jo misaal they
Woh nahi rahey
Merey harf harf k jism par
Jo maa`ni k par-o-baal they
Woh nahi rahey
Meri shayari k jahan ko
Kabhi titliyon, kabhi jugnu`on sey sajaye phirtey khayal they
Woh nahi rahey


Merey dushmanon sey kaho koi
Woh jo shaam-e-shehr-e-wisaal men
Koi roshni si liye huye kisi lab pey jitney sawaal they
Woh nahi rahey
Jo wafa k baab men wehshaton k kamaal they
Woh nahi rahey


Merey dushmanon sey kaho koi
Woh kabhi jo ehd-e-nishaat men
Mujhey khud pey itna ghuroor tha
Kahin kho gaya
Woh jo faatehana khumaar men merey saarey khawab nihaal they
Woh nahi rahey
Kabhi dasht-e-lashkar-e-shaam men
Merey surkhru maah-o-saal they
Woh nahi rahey
Keh bas ab to dil ki zubaan par
Faqat ek qissa-e-haal hey
Jo nidhaal hey
Jo gaye dino`n ka malaal hey
Merey dushmanon sey kaho koi..!!!!!!!


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets