kuch aisey ghaao bhi hotey hain
jinhen zakhmi aap nahi dhotey
bin roye huye aansuon ki tarah
siiney men chupa k rakhtey hain
aur saari umr nahi rotey
niinden bhi muhaiya hoti hain
sapney bhi duur nahi hotey
kyun phir bhi jaagtey rehtey hain
kyun saari raat nahi sotey
ab kis sey kahen ay jan-e-vafa
yeh ehal-e-vafa kis aag men jaltey rehtey hain
kyun bujh k raakh nahi hotey
No comments:
Post a Comment