Khamosh Ho Kyun Daad-E-Jafaa Kyuun Nahiin Detey
Bismil Ho To Qaatil Ko Duaa Kyuun Nahiin Detey
Vehshat Kaa Sabab Ruuzan-E-Zindaan To Nahiin Hai
Mahar-O-Maah-O-Anjum Ko Bujhaa Kyuun Nahiin Detey
Ik Yeh Bhii To Andaaz-E-Ilaaj-E-Gam-E-Jaan Hai
Ay Chaaraagaro Dard Barhaa Kyuun Nahiin Detey
Munsif Ho Agar Tum To Kab Insaaf Karo gey
Mujarim Hain Agar Ham To Sazaa Kyuun Nahiin Detey
Rah'zan Ho To Haazir Hai Mataa-E-Dil-O-Jaan Bhii
Rah'bar Ho To Manzil Kaa Pataa Kyuun Nahiin Detey
Kayaa Biit Gaii Ab Kay ‘Faraz’ Ehal-E-Chaman Par
Yaaraan-E-Qafas Mujh Ko Sadaa Kyuun Nahiin Detey
No comments:
Post a Comment