woh chanchal albeli lerki meri nazmain yun perhti hai
jaisay un nazmon ka mehwar
us ki apni zaat nahi hai,
(yani itni sundar lerki aur koi bhi ho sakti hai!)
jaisay us ko ilm nahi hai yeh saari batain ,us ki hain
saari ghaatain us ki hain
her aahat hai us ki aahat, sab saaye hain us kay saaye
saarey mehmal us k hain
her khushbu hai us ki khushbu, sab chehray hain us kay chehray
saarey aanchal us kay hain
jaisay us ko ilm nahi hai us lerki kay saarey kaam
saarey naam usi kay hain
her khirki hai us ki khirki, sarey baam usi kay hain
us lerki kay naam say jo kuch main nay apnay naam likha hai
us say hi mansoob hua hai
(shayed mera weham ho lekin main nay yeh mehsoos kiya hai)
jab main nazam sunaata hoon woh aankh churaney lagti hai
mujh say nazrain mil jaayen to wo sharmaaney lagti hai
kuch lamhay woh chanchal lerki gum sum si ho jati hai
lekin thori dair men phir say pather ki ho jati hai
jaisay meri nazam ki lerki!!
No comments:
Post a Comment