Tuesday, 7 February 2012

QAATIL






Sochti Thi
Us Sey Bicharr K Na Jee SakOon Gi
Marr JaaOon Gi,


Wo Awaz Na Sun Paaii To
Aur Kaya Sun Paaoon Gi


Us KA Saath Na MiL Paya To
KaisY Jee Paaoon Gi ?


Wo Chehra Na Daikh Saki To
Roshni Kaisay PaaOOn Gi


Sochti Thi
Us Sey Bicharr K Kaisy Jee PaaOOn Gi


Khud Ko KaisaY BehLaaOOn gi
Lekin Dekho


Us Sey Door Huway Mujh Ko
KitnaY Mosam Beet GaYe


Wo Chehra Door Hai Ab Mujh Sey
Wo ALFaaz Nahi MiltaY Ab


Lekin Phir bhi
Aankhon Ki Beenai Salamat Ab bhi Hai
LafzOn Ka Zakheera Ab Bhi Hai


AB Bhi SaansOn Ka Wohi TasalsuL
Waqfay WaqfaY Sey Jaari Hai


Ab Bhi Banti Sanwarti HOon
Ab Bhi Hansti Gaati HooN


Ab Bhi Umda KapraY Pehan K
Sab Sey MilnaY Jaati HooN


Ab Bhi Aksar Tanhai Men
Milan K NaghmaY Gaati Hoon


Ab Bhi Sab Kuch ChaL Hi Raha Hai
Ab Bhi Jeevan Guzar Raha Hai


Lekin Kaya Hai
Ek Larki Jo MeraY AndAr Basti Thi
Teri Madad Sey


Main Ney Us ko Maar DiYa Hai . . .


No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets