Wednesday, 8 February 2012

Dil-o-nigaah pey kis taur k azaab utrey




Dil-o-nigaah pey kis taur k azaab utrey....
Woh mahtaab hi utra, na uskey khawab utrey.....!


Kahan woh rut keh jabeenon pey aftaab utrey....
Zamana beet gaya unki aab-o-taab utrey.....!


Main ussey khul k miloon, soch ka hijaab utrey.....
Woh chahta hai meri rooh ka naqaab utrey......!


Udaas shab mein, karri dopeher k lamhon men.....
Koi chiraagh, koi surat-e-gulaab utrey......!


Kabhi kabhi terey lehjey ki shabnami thandak.....
Sama'aton k darichon pey khawab khawab utrey.....!


Faseel-e-shehar-e-tamanna ki sard bailon per.....
Tera Jamaal kabhi surat-e-sehaab utrey.......!


Teri hansi men naye mausamon ki khushbu thi......
Naveed ho keh badan se puraaney khawab utrey.....!


Supurdagi ka mujassim sawaal ban k khiloon........
Misaal-e-qatra-e-shabnam tera jawaab utrey......!


Teri tarah, meri aankhein bhi muat'bar na raheen
Safar sey qabl hi raston men woh saraab utrey...!!!!!




No comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...
Blogger Wordpress Gadgets