Yeh maira tujh say waada hai
Keh jab tak is jahan men Aik bhi zee-rooh baqi hai
Wo jab tak saans laita hai
Wo jab tak soch sakta hai
Or jab tak her khushi aur fikr ko mehsoos karta hai
Yeh maira tujh say wa'ada hai
Keh jab tak gulistan men Aakhri jo phool khilna hai
Rahay ga shaakh per jab tak Mehak phaila-aye ga apni
Zameen say aasmanon tak Falak k aakhri taaray ko Jab tak jagmagana hai
Keh jab tak lehlahatay khaiton ko zindagi k kaam aana hai
Keh jab tak haath is qabil hain Keh uthaayen duaa'on ko
Keh jab tak aakhri baadal ko Dharti per barasna hai
Keh jab tak is zameen per zehar ka taryaaq mumkin hai
Yeh mayra tujh say wada hai
Keh jab tak jism hai Or jism men yeh jaa'n baqi hai
Keh jab tak is zameen per Aik bhi insaan baqi hai
Hazaron meel lambay faaslay bhi beech men aayen To
Mayri justujo in say kabhi bay'dam nahin ho gi
Mohabbat kum nahin ho gi...
No comments:
Post a Comment