Udasi teergi hoti to shayad,
Aik diya abaad karnay say hi chatt jaati,
Magar aisa nahi hai,
Udasi rasta hoti.
To usko apnay pairoon say gina kartay,
Kahin to jaa k ginti khatam hoti,
Magar aisa nahi hai.
Udasi pairr hoti,
To hum us k saaray baazu kaatt kar maazoor kar detay,
Zameen say iska saya door kar detay,
Magar aisa nahi hai.
Udasi saal hoti,
To hum khud ko yeh samjhaatay,
keh dekh 365 dinoon ki baat hai saari,
Udasi phir nahi hogi,
Magar aisa nahi hai.
Udasi daaeyrah hoti,
To hum uss say kisi khatt e tanseekh ki tarha baahir nikal jaatay,
Koi to aisa lamha mil hi jata,hum sanmbhal jaatay,
Magar aisa nahi hai.
Udasi to udasi k siva kuch bhi nahi hai,
Yahan jitni bhi barish ho,
Yeh mitti num nahi hoti,
Kisi k kuch bhi kehnay say,
Udasi kam nahi hoti.
No comments:
Post a Comment