Kaun kehta hay keh maut aaii gi to mar jaaoon ga
Main to darya hoon samandar men utar jaaoon ga
Terey pehlu sey jo uthuun ga to mushkil yeh hay
Sirf ek shakhs ko paaoon ga jidhar jaaoon ga
Ab terey shehar men aaoon ga musaafir ki tarah
Saaya e abr ki maanind guzar jaaoon ga
Tera paimaan e wafa rah ki deewaar bana
Warna soocha tha jab chahoon ga mar jaaoon ga
Chaara saazooN sey alag hay mera meyaar keh main
Zakham khaaoon ga to kuch aur sanwar jaaoon ga
Ab to khursheed ko doobay huye sadiyaaN guzri
Ab usay dhoondhnay mein taa baad sehar jaaoon ga
Zindagi shamma ki maanind jalaata hoon Nadeem
Bujh to jaaoon ga magar subha bhi kar jaaoon ga..
No comments:
Post a Comment